Sunday, December 19, 2010

Gardishon Ke Hein Maray Hoay Na

Gardishon Ke Hein Maray Hoay Na, Dushmanon K Sataye Hoay Hein
Jitnay Bhi Zakhm Hein Meray Dil Per, Doston K Lagaye Hoay Hein

Ishq Ko Roag Maar Datay Hein, Aqal Ko Soag Maar Detay Hein
Aadmi Khud Ba Khud Nahi Marta, Dosray Loag Maar Daitay Hein

Loag Kaanton Say Bach K Chaltay Hein, Hum Nai Phoolon Say Zakhm Khaye Hein
Tum Ko Ghairon Ki Baat Kartay Ho, Hum Nai Apnay Bhi Aazmaye Hein

Kasa-E-Deed Lay K Dunya Mein, Mein Nai Deedar Ki Gadaye Ki
Meray Jitnay Bhi Yaar Thay Sub Nai Hasb-E-Taufeeq Bewafai Ki

Jab Say Dekha Tera Qudd-O-Qamat

Tumhein Dekha To Zahid Nai Kaha Eeman Ki Ya Hai K
Ub Insaan Ko Sajda Rawa Honay Ka Waqt Aaya

Ay Mast-E-Naaz Daikhnay Walo K Dil To Daikh
Pamal Ho Ga’ay Teri Raftaar Daikh Ker

Giraya Giraya Haat Say Sheesha Surahi Tour Di Mein Nai
Sharab Seekh Pay Dali Kabab Sheeshay Mein

In Aankhon Say Qayamat Ki Nishani Kaun Daikhay Ga
Buth-E-Kafir Teri Uth’ti Jawani Kaun Daikhay Ga

Jab Say Dekha Tera Qudd-O-Qamat, Dil Pay Tooti Howi Hai Qayamat
Her Bala Say Rahay Tu Salamat, Din Jawani Kay Aaye Hoay Hein

Qareeb Aur Bhi Aao K Shauq-E-Deed Mitay
Sharab Aur Pilao K Kuch Nasha Utray

Apne Dil-E-Sadchak Ko See Sakta Hoon, Mehoom-E-Karam Ho K Bhi Ji Sakta Hoon
Mauqof Nahi Jaam Pay Rindii Meri, Saki Tere Ghussay Ko Bhi Pi Sakta Hoon

Aur Day Mujh Ko Day Aur Saqi, Hosh Rehta Hai Thora Sa Baqii
Aaj Talkhi Bhi Hai Intiha Ki, Aaj Wo Bhi Para’ay Hoay Hein

Kal Thay Abad Pehlo Mein Mairay

Kal Thay Abad Pehlo Mein Mairay, Ub Hai Ghairoon Mein Dhere
Meri Mehfil Mein Kar K Andhere, Apni Mehfil Saja’ay Hoay Hein

Apnay Haathon Say Khanjar Chala Ker, Kitna Masoom Chehra Bana Ker
Apnay Kaandhon Pay Ub Mairay Qatil, Meri Mayyat Utha’ay Hoay Hein

Mehwashon Ko Wafa Say Kia Matlab, In Butoon Ko Khuda Say Kia Matlab
In Ki Masoom Nazroon Nay Nasir, Loag Pagal Bana’ay Hoay Hein

Gardishon K Hein Maray Hoay Na, Dushmano K Sataye Hoay Hein…

No comments:

Post a Comment