Haay Mera Dil Le Gaya-
Koi Chel Chabila MaKasa.
Lad Gaye Nain
Lut Gaye Chain
Zulmi ne aise luta
Reh Gayi Me Tadapti.
Haay Mera Dil Le Gaya-
Koi Chel Chabila MaKasa.
Mene Kaha Naa-Naa
Bedardi Ek Naa-Maana
Chhinke Hi Le Gaya Haay.
Haay Rabba Dil Le Gaya-
Koi Chel Chabila MaKasa.
Laage Naina Tose Naina More Naina-
Saajan Haaye Yu Laage
Tera Naam Leke soye, Tere Liye Jaage
Tuj Bin Ab To Piya
Laage Naa Mora Jiya.
Haay Mera Dil Le Gaya-
Koi Chel Chabila MaKasa.
Jaagi Jaagi Raate Meri
Aaaju Baaju Baate Teri
Nind Naa Aaye
Bethi Rahoo Mithe Mithe-
Sapne Sajaaye
Man Mora Pardesiya
Kaisa Gazab Kar Diya
Haay Mera Dil Le Gaya-
Koi Chel Chabila MaKasa.
Thursday, December 30, 2010
Sunday, December 19, 2010
Gardishon Ke Hein Maray Hoay Na
Gardishon Ke Hein Maray Hoay Na, Dushmanon K Sataye Hoay Hein
Jitnay Bhi Zakhm Hein Meray Dil Per, Doston K Lagaye Hoay Hein
Ishq Ko Roag Maar Datay Hein, Aqal Ko Soag Maar Detay Hein
Aadmi Khud Ba Khud Nahi Marta, Dosray Loag Maar Daitay Hein
Loag Kaanton Say Bach K Chaltay Hein, Hum Nai Phoolon Say Zakhm Khaye Hein
Tum Ko Ghairon Ki Baat Kartay Ho, Hum Nai Apnay Bhi Aazmaye Hein
Kasa-E-Deed Lay K Dunya Mein, Mein Nai Deedar Ki Gadaye Ki
Meray Jitnay Bhi Yaar Thay Sub Nai Hasb-E-Taufeeq Bewafai Ki
Jab Say Dekha Tera Qudd-O-Qamat
Tumhein Dekha To Zahid Nai Kaha Eeman Ki Ya Hai K
Ub Insaan Ko Sajda Rawa Honay Ka Waqt Aaya
Ay Mast-E-Naaz Daikhnay Walo K Dil To Daikh
Pamal Ho Ga’ay Teri Raftaar Daikh Ker
Giraya Giraya Haat Say Sheesha Surahi Tour Di Mein Nai
Sharab Seekh Pay Dali Kabab Sheeshay Mein
In Aankhon Say Qayamat Ki Nishani Kaun Daikhay Ga
Buth-E-Kafir Teri Uth’ti Jawani Kaun Daikhay Ga
Jab Say Dekha Tera Qudd-O-Qamat, Dil Pay Tooti Howi Hai Qayamat
Her Bala Say Rahay Tu Salamat, Din Jawani Kay Aaye Hoay Hein
Qareeb Aur Bhi Aao K Shauq-E-Deed Mitay
Sharab Aur Pilao K Kuch Nasha Utray
Apne Dil-E-Sadchak Ko See Sakta Hoon, Mehoom-E-Karam Ho K Bhi Ji Sakta Hoon
Mauqof Nahi Jaam Pay Rindii Meri, Saki Tere Ghussay Ko Bhi Pi Sakta Hoon
Aur Day Mujh Ko Day Aur Saqi, Hosh Rehta Hai Thora Sa Baqii
Aaj Talkhi Bhi Hai Intiha Ki, Aaj Wo Bhi Para’ay Hoay Hein
Kal Thay Abad Pehlo Mein Mairay
Kal Thay Abad Pehlo Mein Mairay, Ub Hai Ghairoon Mein Dhere
Meri Mehfil Mein Kar K Andhere, Apni Mehfil Saja’ay Hoay Hein
Apnay Haathon Say Khanjar Chala Ker, Kitna Masoom Chehra Bana Ker
Apnay Kaandhon Pay Ub Mairay Qatil, Meri Mayyat Utha’ay Hoay Hein
Mehwashon Ko Wafa Say Kia Matlab, In Butoon Ko Khuda Say Kia Matlab
In Ki Masoom Nazroon Nay Nasir, Loag Pagal Bana’ay Hoay Hein
Gardishon K Hein Maray Hoay Na, Dushmano K Sataye Hoay Hein…

Ay Wada Shikan Khwaab
Ay Wada Shikan Khwaab Dikhana Hi Nahi Tha
Kyun Pyaar Kiya Tha Jo Nibhana Hi Nahi Tha.
Iss Tarha Mere Haath Se Daaman Na Chhudao
Dil Tod ke Jaana Tha To Aana Hi Nahi Tha.
Allah! Na Milne Ke Bahane Thay Hazaron
Milne Ke Liye Koi Bahana Hi Nahi Tha.
Dekho Mere Sar Phod Ke Marne Ki Adaa Bhi
Warna Mujhe Deewana Banana Hi Nahi Tha.
Rone Ke Liye Sirf Muhabbat Hi Nahi Thi
Gham Aur Bhi Thay Dil Ka Fasana Hi Nahi Tha.
Na Hum Sahi Kehte Naa Bani Dil Ki Kahani
Ya Gosh Bar'aawaz Zamana Hi Nahi Tha.
Qaisar Koi Aaya Tha Meri Bakhya'gari Ko
Dekha Toh Garebaa Ka Thikana Hi Nahi Tha.

Meri Zeest Pur Mussarat
Meri Zeest Pur Mussarat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi.
Koi Behtarin Surat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi.
Mujhe Husn Ne Sataya, Mujhe Ishq Ne Mitaya
Kisi Aur Ki Ye Haalat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi.
Me Yeh Jaante Hua Bhi, Teri Anjumann Mein Aaya
Ke Tujhe Meri Zaruurat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi.
Jo Gila Kiya Hai Tumse, Jo Samaj Ke Tumko Apna
Mujhe Gair Se Shiqayat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi.
Ye Karam Hai Dosto ka, Jo Woh Keh Rahe Hai Sab Se
Ke Naseer Par Inaayat

Tumhein Dillagi Bhool Jani
Tumhein Dillagi Bhool Jani Paray Gi
Mohabbat Ki Raahon Mein Aa Kar To Daikho
Tarapnay Pay Mairay Na Phir Tum Haso Gay
Kabhi Dil Kisi Say Laga Ker To Daikho
Hoonton K Paas Aaye Hasi Kia Majaal Hai
Dil Ka Moamla Hai Koi Dillagi Nahi
Zakhm Pay Zakhm Pay Kha K Ji Apnay Laho K Ghoont Pe
Aah Na Ker Laboon Ko See Ishq Hai Dillagi Nahi
Dil Laga Ker Pata Chalay Ga Tumhein
Aashqi Dillagi Nahi Hoti
Kuch Khail Nahi Hai Ishq Ki Laag
Pani Na Samajh Yeah Aag Hai Aag
Khoon Rula'ay Gi Yeah Lagi Dil Ki
Khail Samjho Na Dillagi Dil Ki
Yeah Ishq Nahi Aasan Bus Itna Samajh Li Jay
Ik Aag Ka Darya Hai Aur Doob K Jana Hai
Tumhein Dillagi Bhool Jani Paray Gi
Mohabbat Ki Raahon Mein Aa Kar To Daikho
Tarapnay P Mairay Na Phir Tum Haso Gay
Kabhi Dil Kisi Say Laga Ker To Daikho
Wafaoon Ki Hum Say Tawwaqu Nahi Hai
Magar Aik Baar Aazma Ker To Daikho
Zamanay Ko Apna Bana Ker To Daikha
Hamein Bhi Tum Apna Bana Ker To Daikho
Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah
Rukh Say Naqaab Utha Ke
Bari Dair Ho Gaye Maahol Ko Tilawat-E-Quran Kiyeah Hoay
Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah
Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah
Hum Na Samjahy Teri Nazroon Ka Taqaza Kia Hai
Kabhi Pardah Kabhi Jalwa Yeah Tamasha Kia Hai
Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah
Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah
Jane E Jaan Hum Say Yeah Uljhan Nahi Dekhi Jati
Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah
Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah
Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah
Ke Hein Aaj Hum Tum Nahi Ghair Koyi
Shab-E-Wasl Bhi Hai Hijaab Is Qadar Kiyoon
Zara Rukh Say Aanchal Utha Ker To Daikho
Jafa'ein Bohot Kiii Bohot Zulm Dha'ay
Kabhi Ik Nigah-E-Karam Is Taraf Bhi
Hamesha Ho'ay Daikh Ker Mujh Ko Barham
Kisi Din Zara Muskura Ker To Daikho
Jo Ulfat Mein Har Ik Sitam Hai Gawara
Yeah Sub Kuch Hai Paas E Wafa Tum Say Warna
Sata'tay Ho Din Raat Jiss Tarah Mujh Ko
Kisi Ghair Ko Yoon Sata Ker To Daikho
Agar Chay Kisi Baat Per Woh Khafa Hein
To Acha Yeah He Hai Tum Apni Si Ker Lo
Woh Manay Na Manay Yeah Marzi Hai Un Ki
Magar Un Ko Purnam Mana Ker To Daikho
Tumhein Dillagi Bhool Jani Paray Gi
Mohabbat Ki Raahon Mein Aa Kar To Daikho
UN KE ANDAZ-E-KARAM
UN KE ANDAZ-E-KARAM UN PE WO AANA DIL KA
HAYE WO WAQT WO BATAIN WO ZAMANA DIL KA
NA SUNA US NE TAWAJO SE FASANA DIL KA
UMR GUZRI HAI PAR DARD NA JANA DIL KA
DIL LAGI DIL KI LAGI BAN KE MITA DETI HAI
ROG DUSHMAN KO BHI YA RAB NA LAGANA DIL KA
WO BHI APNAY NA HUAY DIL BHI GAYA HATHON SE
ESAY ANAY SE TU BEHTAR THA NA AANA DIL KA
UNKO MEHFIL MEIN NASEER UN KE TABASSUM KI QASAM
HAM DEKHTAY REH GAI HATH SE JANA DIL KA

Subscribe to:
Posts (Atom)