Tuesday, August 26, 2014

Kaali kamli mein jo zeeshan nazar aata hai

Kaali kamli mein jo zeeshan nazar aata hai
dono aalam ka woh nigah-ban nazar aata hai

Sayyad-e-kauno makam teri ataon ki nisar
tera mohtaaz bhi sultan nazar aata hai

Ankh uthti hai to milta hai talawat ka maza
tera chehra hamein quraan nazar aata hai

Ishq ko unke na kyon dil se lagakar dekhun
meri bakhshish ka ye samaan nazar aata hai

Farsh par tooti chitai hai bichchona jiska
arsh-e-aazam ka woh mehmaan nazar aata hai 

Yun nazar aata hai kamli mein muhammad ka jamaal
jaise juzdaan mein quraan nazar aata hai

mere sarkar ki tazeeb hai jiske dil mein
mujhko wo sachcha musalman nazar aata hai

Ibtida karta hoon naam-e-muhammad se main
Kam-e-dushwar bhi aasan nazar aata hai

No comments:

Post a Comment